Back to: Naats Starting With Letter ( A )
Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba, Marhaba aye qafila salaar marhaba. |
Amina kay dilbar o dildar marhaba, Marhaba aye mehboob-e-ghaffar marhaba. |
Shaad ho kay aamad-e-khair ul wara hai aaj, Ghum kay maaray bol uthay ghum khwaar marhaba. |
Subz parcham haath mein lehra kay sub bolo, Makki madni aye arabi sardar marhaba. |
Jhoomta hai wajd mein kaaba khushi mein aaj, Keh rahe hain mibar-o-minnaar marhaba. |
Bas gayi hai wadi-e-jaan mein nahee mehek, Teri aamad per shah-e-abrar marhaba. |
Do ubaid-e-bay hunar ko naat ka shaoor, Kar raha hai piyaar se takraar marhaba |