Back to: Naats Starting With Letter ( A )
Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai. |
Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya. Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai. |
Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam. Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai. |
Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se. Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai. |
Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka. Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka. |
Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka. Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka. |
Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye. Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai. |
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar. Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka noor hi kahye khuda ka noor hai. |
Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai. |