Back to: Naats Starting With Letter ( A )
Amina Ka laal (salla Llahu‘alayhi wa sallam)Aaya, Amina Ka laal Aaya |
Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai, jis ki midhat main utara rabb ne ye Quran hai, Amina (radi Allahu ‘anha) laal Aaya, Amina Ka laal Aaya |
Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand ki, Us ki to har har ada par bolta Quran hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya |
Jo kaha mere Nabi (salla Llahu‘alayhi wa sallam) ne woh hamesha sach howa, ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya |
Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan, Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya |