Back to: Naats Starting With Letter ( A )
Apne Maalik ka main naam lekar Bazm ki ibteda kar raha hoon Ya Khuda aabroo rakh meri tu Teri Hamd o Sana kar raha hoon |
Tu jo chaahe to ban jaaye qismat Mere sajdoN ki kya hai haqeeqat Teri chaukhat pe sar ko jhuka kar Qarz apna ada kar raha hoon |
Main ne duniya ka dekha nazaara Al-madad kah ke main ne pukaara Mujh ko apni panahoN mein rakhna bus yahi iltija kar raha hoon |
Aaj mahfil mein baithe hain jitne sab ke dil ki tamanna ho poori sab ko Haaji bana de tu maula main tadap kar dua kar raha hoon |
Apne mahboob ka dar dikha de mera soya muqaddar jaga de Lutf duniya ko le aaj se main apne dil se juda kar raha hoon |