Back to: Naats Starting With Letter (B)
Bazme Mahboob Sajane Mein Maza Aata Hai, Naat sun’ne suna’ne main maza aata hai. Bazme Mahboob Sajane Mein Maza Aata Hai |
Ba’wudu ho kay duroodon mein baha ker aansoo, Hal e dil unko sunanay mein maza aata hai. Bazm e Mehboob Sajane Mein Maza Aata Hai |
Shahi khanoon say woh kertay hain ziafat aesi, Tukray darbar kay khanay main maza ata hai. Bazme Mahboob Sajanay Mein Maza Aata Hai |
Darta rehta houn tamasha na bana lay duniya, Aansoo chup chup kay bahanay mein maza ata hai. Bazme Mahboob Sajanay Main Maza Aata Hai |
Lootnay waloon ko aaya hai na aaye ga kabhi, Joh faqeeron ko lutanay mein maza aata hai. Bazme Mahboob Sajanay Mein Mazza Ata Hai |
Woh maza aur kahin bhi nahin aata Ajmal, Dar pay jana kay jo janay mein maza aata hai. |
Bazme Mahboob Sajanay Mein Maza Aata Hay, Naat sun’ne suna’ne main maza aata hai. |