Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main Main Phir Rota Huwa Aaoon, Teray Dar Par Madinay Mein. |
Mein Pohunchoon Koey Jana Mein, Ghareeban Chak Seena Chak Gira Day Kash Mujhko Showk Tarpa Kar Madinay Mein. |
Mein Unka Deewana, Madinay Mein Bari Shaan Gaya Chak Dil, Chak Jigar, Chak Ghareeban Gaya. |
Madinay Jaaney Waalo Jaao Jaao Fi Aman’illah Kabi Toh Apna Bhi Lag Jaey Ga Bistar Madinay Main. |
Salaam-E-Showq Kehna Haajio Meraa Bhi Ro Ro Kar Tumhe Aae Nazar Jab Roza E Anwar Madinay Mein. |
Zahe Muqaddar Huzur-E-Haq Say Salaam Aaya Payam Aaya Jhukao Nazreen Bichao Palkeen Adab Ka Aala Maqam Aaya. |
Yeh Rahe-Haq Hai Sambhal Ke Chalna Yahan Hai Manzil Qadam Qadam Par Pohanchna Dar Par To Kehna Aaqa Salaam Lijiye Ghulam Aaya. |
Yeh Kehna Aaqa Bohat Se Aashiq Taraptey Se Choor Aaya Hoon Mein Bulawe Ke Muntazir Hain Lekin Na Subah Aaya Na Sham Aaya. |
Payame Showk Letay Jao Mera Kafilay Walo Sunaana Dastaney Gham Meri Ro Kar Madinay Main. |
Paye Tableegay Sunnat Tu Jahan Rakay Maghar Aae Kash Main Khawaboon Mein Puhanchta Hee Rahoon Aqsar Madinay Mein. |
Madina Is Liye Attar Jaan-O-Dil Say Hai Pyara Key Rehtay Hain Meray Aaqa, Meray Dil Bar Madinay Main. |
Na Dowlat Dey Nah Showhrat Dey, Mujhay Bas Yeh Sahaadat Dey Teray Kadmo Main Marjaoon, Main Ro Ro Kar Madinay Main. |
Meraa Gham Bhi Toh Dekho, Main Paraa Hoo Duur Tayba Sey Sukoon Aey’ga Bas Meraa Dil-E-Muztar Madinay Main. |
Wahan Ik Saas Miljaye Yehi Hai Zeest Ka Haasil Vo Kismet Ka Dhani Hao Jo Gaya Dam Bhar Madiney Mein. |
Chalo Chaukat Pe Unki Rak Ke Sar Qurbaan Ho Jaye Hayat E Jaan Vidaani Paayengey Mar Kar Madiney Mein. |