Sign Up

Sign In

Forgot Password

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link and will create a new password via email.

You must login to ask question.

ہماری ویب سائٹ پر آپ کا خیر مقدم ہے۔

Ask A Question

Bulalo Phir Mujhay Ae Shah e Behrobar Madine Mein

Bulalo Phir Mujhay Ae Shah e Behrobar Madine Mein
Main phir rota huwa aau tere dar par Madine mein
Na daulat de na shawhrat de mujhe bas yeh sahaadat de
Tere kadmo me marjau main ro ro kar Madine mein
Madine jaane waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kadi toh apna bhi lag jayega bistar Madine mein
Mera gham bhi toh dekho main para hoo duur Taiba se
Sukoon aayega bas mera Dil e Muztar Madine mein
Salaam e Shauq kehna haajion mera bhi ro ro kar
Sunana Dastan e Gham meri ro kar Madinay mein
Madina isliye Attar Jaan o Dil se hai pyara
Ke rehte hai mere Aaqa mere dil bar Madine mein
Madina isliye Tahir Jaan o Dil se hai pyaara
Ke rehte hai mere Aaqa mere dil bar Madine mein