Back to: Naats Starting With Letter (D)
Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga |
Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga |
Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga |
Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga |
Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram ho |