Back to: Naats Starting With Letter (D)
Darpesh ho taiba ka safar kaisa lage ga Guzrain jo wahan shaam o sehar kaisa lage gaAe |
kash madine main mujhe maot youn aye Kadmoon main ho sarkarﷺ ke sar kaisa lage ga |
Ae pyare khuda dekhoon main sarkar ka jalwa Mil jaye dua to jo asar kaisa lage ga |
Aaqa ka ghada hoon ae jahanum tu bhi sun le Wo kaise jalle jo ke ghullam-e madni ho |
Ae kash main ban jaoon madine ka musafir Phir rothi huwi taiba ko baraat challi ho |
Jab door se hai itna haseen gumbad-e-hazra Iss paar ye aalum hai udhaar kaisa lage ga |
Aa jayen mere ghar main agar rehmat-e-aalam Main kesa lagoon ga mera ghar kesa lage ga |
Taiba ki saadath to youn pathe hain hazaroon Murshid ka saath ho jo safar kaisa lage ga |
Payee Munawar ne kazza dar pe Nabi ke Aajaye watan aesi habbar kaisa lage ga. |