Back to: Naats Starting With Letter (D)
DiloN ke Gulshan Mahek Rahe HaiN Ye kaif Kyun Aaj aa rahe haiN Kuch aisa mahsoos ho raha hai Huzoorﷺ tashreef La rahe haiN |
NawaziahoN par nawazishein Gain Inayaton par inayatein gain Nabi ﷺ ki naatein suna suna kar Hum apni qismat jaga rahe hain |
Kahin pe raunaq hai mai kashon ki Kahin pe mahfil hai dil jaloN ki Wo kitne khush bakht hain jo apne Nabi ﷺ ki mahfil saja rahe hain |
Na paas pi ho to soona saajan Wo jis se raazi wahi suhaagan JinhoN ne pakda Nabi ﷺ ka daaman Unhi ke ghar jagmaga rahe hain |
Kahan ka mansab kahan ki daulat Qasam khuda ki ye hai haqeeqat Jinhein bulaaya hai Mustafa ﷺ ne Wahi Madeene ko ja rahe hain |
Main apne Khairul-wara ﷺ ke sadqe Main unki ﷺ shaan e ata ke sadqe Bhara hai aiboN se mera daaman Huzoor ﷺ phir bhi nibha rahe hain |
Banega jaane ka phir bahaana kahega aakar koi deewaana Chali Niyaazi tumhein Madeene Madeene waale bula rahe hain |