Back to: Naats Starting With Letter (E)
Eid-E-Nabvi Ka Zamanah Aa Gaya Lab Peh Khushiyon Ka Tharana Aa Gaya |
Har Sitarey Ko Mili Hai Roshani Har Kali Ko Muskurana Aa Gaya |
Har Tharaf Salle Ala Ki Dhoom Hai Wajd Mein Sara Zamana Aa Gaya |
Parcham Deen Muhammad Ho Buland Kafir Ko Gardan Jukana Aa Gaya |
Kyun Na Ho Qismat Key Maron Paas Rehmat Ka Khazana Aa Gaya |
Aaj Chamkado Dar-O-Deewar Ko Aashiqon Ka Din Suhana Aa Gaya |
Shaad Hunton Peh Hai Naat Mustafa Haath Bakhshish Ka Bahanah Aa Gaya |