Back to: Naats Starting With Letter (E)
Ek roz mominon tumhe marna zarur hai Padte raho namaz ye qaule rasool hai |
Padte raho namaz toh chahere pe noor hai Padte nahin namaz to apna kasur hai |
Apne kiye aap saza jald paoge Sidhe aye be namazi jahannam mein jaaoge |
Jis roz ke takht pe baithega kibriya Us wakt kya kahoge tumhe aayegi haya |
Sharmo haya se us gadi sar ko jukaoge Jannat to kya milegi jahannam mein jaoge |
Tauba karo khudara namazien pada karo Makro fareb jhuth se har dam bacha karo |
Masjid khuda ka ghar hai ibadat ka kaam hai Duniya ka kaam karna to mutlak haram hai |
Padte hein jo namaz jama’at se sar b sar Tayyar kar rahe hein wo jannat mein apna ghar |
Bakhshayenge khuda se use shahe bahero bar Musleem mein aur bukhari ne likhi hai ye khabar |
Jo tark ki namaz to wo naash ho gaya Jisne padhi namaz to wo paak ho gaya |
Padte raho namaz to bahetar hai kaam hai Deene rasool e paak ka is se kayam hai |
Mat khao sud sud ka khana haram hai Bas ye dua khuda se meri sub’ho shaam hai |
Paband be namazi ko kardo namaz ka Aur uske dil mein shok tum bhar do namaz ka |
Naraz apni biwi se hote ho har gadi Kahete ho kaam usko tum har wakt har gadi |
Usko bhi hai namaz sikhai koi gadi Tumse nikah kar ke musibat mein hai padi |
Dekho namaz padna na usko sikhaoge Biwi ke sath khud bhi jahannam mein jaoge |
Ae momino namaz ko tum karna na kaza Quraan mein ye saf ye kahete hai kibriya |
Marne ke baad hashr mein dulha banayegi Sahera najat ka ye sar pe udayegi |
Shimre laeen ne sar ko jo tan se juda kiya Us dam sare hussain tha sajde mein juka hua |
Ahle jahan ko shok e shahadat dikha diya Hakki raza mein apna hai kya ghar luta diya |
Dekhoge kesi kesi ibadat namaz hai Bhule na marte dam bhi wo na’emat namaz hai |
Ae momino namaz khuda se milayegi Marne ke baad gulshane jannat dilayegi |
Khalik se tumko roze jaza bakhshvae gi Jannat mein sath apne tumhe leke jayegi |
Sari ibadaton mein ibadat namaz hai Ae momino ye deen ki daulat namaz hai |
Jo kuchh ke martaba tha bataya namaz ka Howe ga sar pe hashr mein saya namaz ka |
Mazboot pakdo hath safaya namaz ka Ye martaba khuda ne banaya namaz ka |
Padlo namaz dil se toh ho jaoge wali Khil jayegi fir aapse dil ki kali kali |
Taufik mujko dedo ae mere kibriya Karti rahun namaz ki tableeg ja baza Karti rahun namaz ki tableeg ja baza Karti rahun namaz ki tableeg ja baza |