Back to: Naats Starting With Letter (F)
Firishtai Jis Kai Zaa’ir Hain Madine Mai Woh Turbat Hai Yai Woh Turbat Hai Jis Ko Arsh e Azam Par Fazilat Hai |
Bhalaa Dasht e Madina Se Chaman Ko Koi Nisbat Hai Madine Ki Fazaa Rashk e Bahaar e Baagh e Jannat Hai |
Madina Gar Salaamat Hai Tou Phir Sab Kuch Salaamat Hai Khudaa Rakhai Madine Ko Usi Ka Dam Ghanimat Hai |
Madina Aisaa Gulshan Hai Jo Har Gulshan Ki Zinat Hai Bahaar e Baagh e Jannat Bhi Madine Ki Badoulat Hai |
Madina Chorr Kar Sair e Jinaan Ki kya Zarurat Hai Yai Jannat Se Bhi Behtar Hai Yai Jitai Ji Ki Jannat Hai |
Hamain kya Haqq Ta’ aalaa Ko Madine Se Muhabbat Hai Madine Se Muhabbat Unn Se Ulfat Ki Alaamat Hai |
Gadaagar Hai Jo Uss Dar Ka Wohi Sultaan e Qismat Hai Gadaa’i Uss Dar e Waalaa Ki Rashk e Baadshaahat Hai |
Jo Mustaghni Huwaa Unn Se Muqaddar Uss Ka Khaibat Hai Khalil Ullah Ko Hangaam e Mehshar Unn Ki Haajat Hai |
Ilaahi! Woh Madinah Kaisi Basti Hai Dikhaa Dainaa Jahaan Rehmat Barasti Hai Jahaan Rehmat Hi Rehmat Hai |
Madinah Chaurh Kar Jannat Ki Khushbu Mil Nahi Sakti Madine Se Muhabbat Hai Tou Jannat Ki Zamaanat Hai |
Zamin Par Woh Muhammad Hain Woh Ahmad Asmaanon Mai Yahan Bhi Unn Ka Charchaa Hai Wahaan Bhi Unn Ki Midhat Hai |
Yahaan Bhi Unn Ki Chalti Hai Wahaan Bhi Unn Ki Chalti Hai Madina Raaj Dhaani Hai Do Alam Par Hukumat Hai |
Ghazab Hi Kar Diyaa Akhtar Madine Se Chalai Aye Ye Woh Jannat Hai Jiss Ki Arsh Waalon Ko Bhi Hasrat Hai |
Madina Chorr Kar Akhtar Bhalaa Kyun Jaa’ey Jannat Ko Yai Jannat kya Har Ik Ni’mat Madine Ki Badoulat Hai |