Back to: Naats Starting With Letter (F)
Faslon ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bebas nahin besahara nahi. |
Khud unhi ko pukarengey hum door say Raaste mein agar paon thak jayengay |
Hum Madinay mein tanha nikal jayengey, Aur galiyon mein kus dun batak jayengey. |
Hum wahan jakey wapas nahin ayengay. Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey. |
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega, Bandagi ka kareena badal jaye ga. |
Sar jhukane ki fursat milay gi kisey. Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey. |
Naam e Aaka jahan bhi liya jayega, Zikr unka jahan bhi kiya jayega. |
Noor hi noor seeno mein bhar jayega, Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey. |
Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye, Dastaan e safar mujko yoon mat suna. |
Baat bhar jayegi dil tarap jayega, Meray mohtat ansoo chalak jayegay. |
Unki chashme karam ko hai iski khabar, Kis musafir ko hai kitna shaukey safar. |
Humko Iqbal jab bhi ijazat mili, Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney |