Back to: Naats Starting With Letter (F)
Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan muqammal karle tu Iman zamana yaad karega |
Jab yaad Nabi ki aati hai ik kaif sa aalam hota hai jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai Yahi to kahta hai Qur’an k Aaqa hai jaan-e-Iman zamana yaad karega zamana yaad karega |
Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan zamana yaad karega zamana yaad karega |
Aslaf ki hai taarikh yahi sahil pe jala di hai kashtee daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan zamana yaad karega zamana yaad karega |
Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman zamana yaad karega zamana yaad karega |
Darbare wilayat kya kehna jab unka ishara milta hai baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai Asad ye Ghaus ka hai faizan hai jis se Fikr-o-nazar hairan zamana yaad karega zamana yaad karega |
Jo baat thi Aa’la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan zamana yaad karega zamana yaad karega |