Back to: Naats Starting With Letter (F)
Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai, Jigar tukray tukray hua ja raha hai. |
Chura kar Madinah mera chain cheena, Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai. |
Meri aankh se cheena taiba ka manzar, Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai. |
Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko, Na shikwa kisi se na koi gila hai |
Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai |
Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho Nazar mein Madinah meri iltija hai. |
Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai. |
Sukoon tha mujhe Koocha-e-Mustafa mein, Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai |
Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai |
Na chootay mere haath se un ka daaman Jiyun jab talak ya khuda yeh dua hai |
Mein lafzon mein kaise bata doon kisi ko Kay kia kia mujhe aaj yaad aa raha hai. |
Paharon ki dilkash sitaron kay jalway, Woh manzar mujhe aaj yaad aa raha hai |
Unhe choomna haath lehra kay paiham, Woh lamha mujhe aaj yaad aa raha hai. |
Aqeedat se khaak-e-Madinah utha kar Use choomna aaj yaad aa raha hai. |
Kabhi deed-e-sarwar ki hasrat mein minbar, Ko takna woh chup chup kay yaad aa raha hai. |
Haseeno jamil piyaari woh jannat ki kiyari, Wahan baithna aaj yaad aa raha hai. |
Kabhi dekh kar subz gumbad ka manzar, Jhukana nazar aaj yaad aa raha hai. |
Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai, Jigar tukray tukray hua ja raha hai. |