Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Firaaq-E-Madinah Mein Dil Ghamzada Hai, Jigar Tukray Tukray Hua Ja Raha Hai. |
Chura Kar Madinah Mera Chain Cheena, Bata Nafs-E-Zalim Tujhe Kia Mila Hai. |
Meri Aankh Se Cheena Taiba Ka Manzar, Yeh Kis Baat Ka Tu Ne Badla Lia Hai. |
Sikhaya Hai Phir Yeh Muqaddar Ne Mujh Ko, Na Shikwa Kisi Se Na Koi Gila Hai. |
Rahoon Bus Isi Ghum Mein Bay Chain Sarwar, Muqaddar Ne Jo Daagh-E-Furqat Dia Hai. |
Muqaddar Se Jis Ja Rahoon Per Shaha Ho, Nazar Mein Madinah Meri Iltija Hai. |
Mere Dil Kay Armaan Rahe Dil Hi Dil Mein, Yehi Ghum Mere Dil Ko Tarpa Raha Hai. |
Sukoon Tha Mujhe Koocha-E-Mustafa Mein, Watan Mein Mera Sub Sukoon Lut Gaya Hai. |
Na Dunya Ki Fikrain Na Ghum Tha Wahan Per, Yahan Aa Kar Dil Aafaton Mein Phansa Hai. |
Na Chootay Mere Haath Se Un Ka Daaman, Jiyun Jab Talak Ya Khuda Yeh Dua Hai. |
Mein Lafzon Mein Kaise Bata Doon Kisi Ko, Kay Kia Kia Mujhe Aaj Yaad Aa Raha Hai. |
Paharon Ki Dilkash Sitaron Kay Jalway, Woh Manzar Mujhe Aaj Yaad Aa Raha Hai. |
Unhe Choomna Haath Lehra Kay Paiham, Woh Lamha Mujhe Aaj Yaad Aa Raha Hai. |
Aqeedat Se Khaak-E-Madinah Utha Kar, Use Choomna Aaj Yaad Aa Raha Hai. |
Kabhi Deed-E-Sarwar Ki Hasrat Mein Minbar, Ko Takna Woh Chup Chup Kay Yaad Aa Raha Hai. |
Haseeno Jamil Piyaari Woh Jannat Ki Kiyari, Wahan Baithna Aaj Yaad Aa Raha Hai. |
Kabhi Dekh Kar Subz Gumbad Ka Manzar, Jhukana Nazar Aaj Yaad Aa Raha Hai. |