Back to: Naats Starting With Letter (G)
Gham e hijre mustafa Mein, meri jaan sulag rahi hai kabhi unki ho ziyarat, yahi lo lagi hui hai |
teri yaad mera imaan, tera zikr zindagi hai mujhe dard se nawaza, teri banda parwari hai |
mein chala hu apne ghar se, yehi souch kar madine mera kaam justujoo hai, tera kaam rahbari hai |
na hua hai koi tujhsa, na jahan mein koi hoga tu habibe qibria hai, tujhe zeb sarwari hai |
mujhe ay fida yakeen hain, kabhi deed unki hogi mera dil tarab raha hai, meri aankh mein nami hai |