Back to: Naats Starting With Letter (G)
Ghul utha hai chaar soo, phir Aa gya Ramadaan hai Khil uthay mur jhae dil, taza huwa Imaan hai |
Ya Khuda hum aasiyaun par, yeh bada ehsaan hai Zindagi me phir ata, hum ko kiya Ramadaan hai |
Tujh pay sadqe jaoon Ramadaan! Tu Azeemush shaan hai Ke Khuda ne tujh me hi, Nazil kiya Qur’an hai |
Abre Rehmat chaa gaya hai, aur sama hai noor noor Fazle Rab se maghfirat ka, ho gaya samaan hai |
Har ghadi Rehmat bhari hai, har taraf hai Barkatein Mah e Ramadaan Rehmataun aur Barkataun ki kaan hai |
Agaya Ramadaan, Ibadat par kamar bandh lo Faiz le lo jald ke, din tees ka mehmaan hai |
Aasiyaun ki maghfirat ka, lekar aya hai paighaam Jhoom jao mujrimo! Ramadaan me ghufraan hai |
Bhaiyo Behno karlo, gunahaun se tauba ke ab Pad gaee dozakh pay, taalay qaid me shaitaan hai |
Sunnate sab jhoom kar, apnate jao bhaiyo! Khuld ke Dar khul gae hai, dakhila asaan hai |
Masjidein abaad hai, zor e gunah kam hogaya Mah e Ramadaan ul Mubarak, ka yeh Faizaan hai |
Roza daar! jhoom jao kyun Deedaar e Khuda Khuld me hoga tumhe, yeh wada e Rahmaan hai |
Do jahaan ki Ne’amatein, milti hai roza daar ko Jo nahi rakhta hai roza wo bada nadaan hai |
Ek Roza jo khaza karde, suno nau laakh saal Wo jahannam me jalay, Sarkaar ka farmaan hai |
Ya ILAHI! Tu Madine me, kabhi Ramadaan dikha day Mud’dataun say dil me yeh, Attar ke armaan hai |