Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho Kábah To Dekh Chukey Kábey Ka Kábah Dekho |
Rukn-E-Shāmī Sey MiTee Wahshat E Shām E Ghurbat Ab Madīney Ko Chalo Subĥ-E-Dilāra Dekho |
Aab-E-Zamzam To Piyaa Khuub BujhāyeeN PyaaseN Aao Juud-E-Shah-E-Kawsar Ka Bhi Dariyaa Dekho |
Zeyr-E-Mīzaab Miley Khuub Karam Key CheeN.Tey Abr-E-Raĥmat Ka YahaaN Zor Barasnaa Dekho |
Dhoom Dekhi Hai Dar-E-Kábah Pey BeytāboN Kee Un Key MushtāqoN MeiN Ĥasrat Ka TaDapna Dekho |
Misl-E-Parwaana Phira Kartey They Jis Shamáh Key Gird Apni Us Shamáh Ko Parwāna YahaaN Kaa Dekho |
Khuub AankhoN Se Lagaaya Hai Ghilaaf-E-Kábah Qaşr-E-Mahboob Key Pardey Ka Bhi Jalwaa Dekho |
WaaN MuţeeyoN Ka Jigar Khawf Sey Paani Paaya YaaN Siyah KaaroN Ka Daaman Pey Machalna Dekho |
AwwalīN Khaana-E-Ĥaq Ki To ZiyaayeN DekhīN AakhirīN Bayt-E-Nabiy Ka Bhi Tajallā Dekho |
Zeenat-E-Kábah MeiN Tha Laakh ÁrūsoN Ka Banaaw Jalwa Farmaa YahaN Kawnayn Ka Duulhaa Dekho |
Ayman-E-Ţur Ka Tha Rukn-E-Yamāni MeiN Furogh Shúla-E-Ţur Yahan Anjuman Aaraa Dekho |
Mihr-E-Mādar Ka Mazaa Deyti Thi Aaghosh-E-Ĥaţeem Jin Pe MaaN Baap Fidaa YaaN Karam Unkaa Dekho |
Árz-E-Ĥājat Mein Rahaa Kábah Kafeel-Ul-Ĥujjāj AaO Ab Daad Rasī-E-Shah-E-Ţaybah Dekho |
Dho Chukaa Zulmat-E-Dil Bausay-E-Sang-E-Aswad Khaak Bausīy-E-Madīnah Ka Bhi Rutbaa Dekho |
Kar Chukī Rifát-E-Kábah Pey Nazar ParwaazeN Topi Ab Thaam Key Khaak-E-Dar-E-Waala Dekho |
Be Niyaazi Sey Wahaan KaaNmpti Paayi Ţāát Josh-E-Raĥmat Pey YahaaN Naaz Gunah Ka Dekho |
Jumáh-E-Makkah Tha Íyd Ahl-E-Íbādat Key Liye MujrimO! AaO YahaaN Íyd-E-Dushumba Dekho |
Multazam Sey To Gale Lag Key Nikaaley ArmaaN Adab-O-Shauq Ka YaaN Baaham Ulajhnaa Dekho |
Khuub Masáā MeiN Ba Ummīd-E-Şafā DauD Liye Rah-E-JanaaN Ki Şafaa Ka Bhi Tamāshā Dekho |
Raqs-E-Bismil Ki BahaareN To Minaa Mein DekhīN Dil-E-KhuuN Naaba Fashan Ka Bhi TaDapna Dekho |
Ghaur Se Sun To Razā Kábey Sey Aati Hai Şadaa Meri AankhoN Sey Merey Pyaare Ka Rozah Dekho! |