Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar Jaan-O-Dil Tum Par Fida, Aie Do Jahan Kay Tajdaar |
Mein Akela Aur Masail Zindagi Kay Baishumar, App Hi Kuch Kijiye Na, Aie Shahe-Aali-Waqar |
Yaad Aata Hai Tawaffe Khana Kaaba Mujhay, Aur Lipatna Multazan Say Walihana Bar Bar |
Sange Aswad Choom Kar Milta Mujhay Kaifo Surror Chain Pata Deikh Kar Dil Mustajabo Mustajar |
Ya Khuda Dikhla Hateem Pak Meezabo Maqam, Aur Safa Marwa Mujhay Behray Rasool-E-Zewaqar |
Jaraha Hai Kaafila Taiba Nagar Roota Hua, Mein Raha Jata Hoon Tanha Aie Habib-E-Kirdgar |
Jald Phir Tum Lo Bula, Aur Sabz Gunbad Do Dikha, Hazari Ki Arzoo Nay Kar Diya Phir Beqarar |
Choom Kar Khaqay Madina Jhoomta Phirta Tha Mein, Yaad Aatay Hain Madinay Kay Mujhay Lailonahar. |
Ghumbade Khazra Kay Jalway Aur Woh Iftarian Yaad Aati Hai Bohat Ramadan E Taiba Ki Bahar |
Ya Rasoolallah Sun Lijiye Meri Faryaad Ko, Kon Hai Jo Kay Sunay Teray Siwa Meri Pukaar. |
Hall Par Meray Karam Ki Eik Nazar Farmiye, Dil Mera Ghamgeen Hai Aie Ghmzadoon Kay Ghamgusar |
Kafilay Walo Suno, Yaad Aaie To Mera Salaam Arz Kerna Rotay Rotay Ho Sakay To Bar Bar |
Ghamzada Yoon Na Hua Hota Ubaid-E-Qadri Eik Baras Bhi Dekhta Agar Sabz Gunbad Ki Bahar |