Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga, Huzoor Jante Hain, Teri Aata Say Khudaya, Huzoor Jaante Hain. |
Khuda Ko Dekha Nahin Aur Eik Maan Liya, Ke Jantay Thay Sahaba, Huzoor Jantay Hein. |
Munafiqoon Ka Aqeeda Woh Gaibdaan Nahin, Aur Sahabiyoon Ka Aqeeda, Huzoor Jantay Hain. |
Aie Ilm E Ghaib Kay Munkir Khuda Ko Dekha Hai? Aur Tujhay Bhi Kehna Padega, Huzoor Jante Hain. |
Khabar Bhi Hai? Ke Khabar Sabki Hai Unhein Kab Say, Ke Jab Na Ab Tha Na Kab Tha, Huzoor Jante Hain. |
Kai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na Mujhe, Khuda Nay Kitna Nawaza, Huzoor Jante Hain. |
Woh Mominoon Ki To Janoon Say Bhi Kareeb Huye, Kahan Say Kisnay Pukara, Huzoor Jante Hain. |
Isiliye To Sulaya Hai Apne Pehlu Mein, Ke Yaar E Ghar Ka Rutba, Huzoor Jante Hain. |
Umar Nay Tan Say Juda Kar Diya Tha Sar Jis Ka, Woh Apna Hai Ke Paraya, Huzoor Jante Hain.. |
Nabi Ka Faisla Na Maan Kar Woh Jaan Say Gaya, Mizaaj Umar Ka Hai Kaisa, Huzoor Jante Hain |
Wohi Hai Paikar E Sharm O Haiya O Zul Nuraian, Maqaam Unki Haya Ka, Huzoor Jante Hain. |
Hain Jiske Moula Huzoor Uske Hain Ali Moula, Abu Turab Ka Rutba, Huzoor Jante Hain. |
Yeh Khud Shaheed Hain, Betay Nawasay Potay Shaheed, Ali Ki Shaan E Yagana, Huzoor Jante Hain. |
Main Unki Baat Karoon Yeh Nahin Meri Auqaat, Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor Jante Hain. |
Jina Mein Kaun Hain Sardaar Nojawanoon Kay, Hasan, Hussain Ke Nana, Huzoor Jante Hain.. |
Malaika Ne Kiya Youn To Sajda Adam Ko, Dar Asal Kis Ko Tha Sajda, Huzoor Jante Hain |
Kahan Marein Gay Abu Jahal O Utba O Sheiba, Ke Jang E Badr Ka Naqsha, Huzoor Jante Hain. |
Woh Kitna Fasla Tha, Aur Kalaam Tha Kaisa, Aao Adna Aur Ma Aaoha, Huzoor Jante Hain. |
Milay Thay Rah Mein 9 Bar Kis Liye Musa, Yeh Deed E Haq Ka Bahana, Huzoor Jante Hain.. |
Main Chup Khara Houn Mawaja Pay Sar Jhukaye Huye, Sunaoon Kaise Fasana, Huzoor Jante Hain |
Chupa Rahe Hai Lagatar Mere Aiyboon Ko, Main Kis Qadar Houn Kameena, Huzoor Jante Hain. |
Khuda Hi Jaanay UBAID Unko Hai Pata Kiya Kiya, Hamein Pata Hai Bus Itna, Huzoor Jante Hain. |
Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke, Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor Jante Hain. |
Haran Ne Oonth Ne Chiryoon Ne Ki Yehi Faryaad, Ke Unkay Gham Ka Madawa, Huzoor Jante Hain. |
Teri Aata Say Khudaya, Huzoor Jaante Hain. Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke, |
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor Jante Hain. Teri Aata Se Khudaya, Huzoor Jaante Hain. |
Main Unki Baat Karoun Yeh Nahin Meri Auqaat, Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor Jante Hain. Teri Aata Se Khudaya, Huzoor Jaante Hain. |