Back to: Naats Starting With Letter (H)
Jo Ho Chuka Hai Jo Ho Ga, Huzoor Jante Hain Teri Aata Say Khudaya, Huzoor ﷺ Jaante Hain |
Khuda Ko Dekha Nahin Aur Eik Maan Liya Ke Jantay Thay Sahaba, Huzoor ﷺ Jantay Hein |
Munafiqoon Ka Aqeeda Woh Gaibdaan Nahin Aur Sahabiyoon Ka Aqeeda, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Aie Ilm E Ghaib Kay Munkir Khuda Ko Dekha Hai Aur Tujhay Bhi Kehna Padega, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Khabar Bhi Hai? Ke Khabar Sabki Hai Unhein Kab Say Ke Jab Na Ab Tha Na Kab Tha, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Umar Nay Tan Say Juda Kar Diya Tha Sar Jis Ka Woh Apna Hai Ke Paraya, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Nabi Ka Faisla Na Maan Kar Woh Jaan Say Gaya Mizaaj Umar Ka Hai Kaisa, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Wohi Hai Paikar E Sharm O Haiya O Zul Nuraian, Maqaam Unki Haya Ka, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Hain,,, Jiske Moula Huzoor ﷺ Uske Hain,,, Ali Moula Abu Turab Ka Rutba, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Yeh Khud Shaheed Hain,,,, Betay Nawasay Potay Shaheed Ali Ki Shaan E Yagana, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Main Unki Baat Karoon Yeh Nahin Meri Auqaat, Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Jina Mein Kaun Hain,,, Sardaar Nojawanoon Kay Hasan, Hussain Ke Nana, Huzoor Jantay Hain |
Malaika Ne Kiya Youn To Sajda Adam Ko Dar Asal Kis Ko Tha Sajda, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Kahan Marein Gay Abu Jahal O Utba O Sheiba Ke Jang E Badr Ka Naqsha, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Woh Kitna Fasla Tha, Aur Kalaam Tha Kaisa Aao Adna Aur Ma Aaoha, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Milay Thay Rah Mein 9 Bar Kis Liye Musa Yeh Deed E Haq Ka Bahana, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Main Chup Khara Houn Mawaja Pay Sar Jhukaye Huye Sunaoon Kaise Fasana, Huzoorﷺ Jantay Hain |
Chupa Rahe Hai Lagatar Mere Aiyboon Ko Main Kis Qadar Houn Kameena, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Khuda Hi Jaanay Ubaid Unko Hai Pata Kiya Kiya Hamein Pata Hai Bus Itna, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Haran Ne Oonth Ne Chiryoon Ne Ki Yehi Faryaad Ke Unkay Gham Ka Madawa, Huzoor ﷺ Jantay Hain |
Teri Aata Say Khudaya, Huzoor ﷺ Jaante Hain Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke |
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor ﷺ Jantay Hain Teri Aata Se Khudaya, Huzoor ﷺ Jaante Hain |
Main Unki Baat Karoun Yeh Nahin Meri Auqaat Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor ﷺ Jantay Hain |