Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Idhar Bhi Nigaahay Karam Ghous-E-Azam, Karo Door Ranj-O-Alam Ghous-E-Azam. |
Ghira Hoon Mein Har Samt Se Ranj-O-Ghum Mein, Khudara Karam, Kar Karam, Ghous-E-Azam. |
Wah Kiya Martaba Hai Suay Bala Tera, Unchay Unchoon Kay Saroon Say Qadam Aala Tera, |
Jo Wali Qabl Thay Baad Huey Ya Houn Gay, Sub Adab Rakhtay Hain Dil Mein Meray Aaqa Tera, |
Sar Bhala Kya Koi Janay Kay Hai Kaisa Tera, Aulia Mertay Hain Aakay Woh Hai Talva Tera. |
Woh Rutba Tera Hai Kay Jitnay Wali Hain, Sabhi Tere Zair-E-Qadam Ghous-E-Azam. |
Hai Gardan Mein Teri Ghulami Ka Patta, Tujhi Se Hai Mera Bharam Ghous-E-Azam. |
Tera Hoon Mein Tera Mere Is Kahe Ka, Sar-E-Hashr Rakhna Bharam Ghous-E-Azam. |
Madinay Se Najdi Bala Ko Nikalo, Karo Un Kay Sar Ko Qalam Ghous-E-Azam. |
Mera Har Maraz Door Ho Jaye Piyaare Karo Aisa Aakar K Dam Ghous-E-Azam. |
Mere Chaand Mera Muqaddar Sanwaaro, Bohot Ho Gaye Paich-O-Ghum Ghous-E-Azam. |
Mujhe Khwaab Mein Aa Ke Jalwa Dikha Do, Karo Aaj Ki Shab Karam Ghous-E-Azam |
Nazar Jab Uthaaoon Nazar Aaye Mujh Ko, Madinay Ka Dilkash Haram Ghous-E-Azam. |
Jila Paaye Ga Dil Ubaid-E-Raza Ka, Zara Rakh Do Apna Qadam Ghous-E-Azam. |