Back to: Naats Starting With Letter (I)
Ik Me Hi Nahi Un Par Qurban Zamaana He Jo Rabe Do Aalam Ka Mahboob Yagana He |
Kal Pul Se HaMe Jis Ne Khud Par Lagana He Zahra Ka Woh Baba He Hasnain Ka Nana He |
Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Me Waroon Jo Husn O Shumail Me Yaktae Zamaana He |
Izzat Se Na Marjeein Kyun Naam E Muhammad Par Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Se Toh Jana He |
Yoon Shah E Madina Ki Me Pusht Panahi Me Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana He |
Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Herat Bakhshih Ki Riweat Me Toba To Bahana He |
Pur Noor Si Rahein Hen Gunbad Pe Nigahein He Jalwey Bhi Anokhe Hen Manzar Bhi Suhana He |
Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Me Kuch Mohlat Milad Ki Aamad He Mehfil Ko Sajaana He |
Aao Dar E Zahra Par Phalee Hue Daman Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharaana He |
Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisne Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Me Chupana He |
Har Waqt Woh Hen Meri Duniya E Tasawar Me Aie Shoq Kahin Ab To Aana He Na Jana He |
Hum Kyun Na Kahein Unse Rodad E Alam Apni Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Ne Mana He |
Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar Jaisa He Naseer Aakhir Sahil Toh Puraana He |