Back to: Naats Starting With Letter (J)
Jab zaban par Mohammad ka naam aa gaya Aasman se durud-o-salam aa gaya Mustafa |
Allahumma Salli ‘Ala Mohammad Wa ‘Ala ‘ali Mohammad |
Soz-e-furqat se dil jab pareshan hua Lab pe la taqnatun ka payam aa gaya Mustafa |
Allahumma Salli ‘Ala Mohammad Wa ‘Ala ‘ali Mohammad |
Jab madine me pahunchun fiza gunj uthe Logon shaida-e-khair-ul-anam aa gaya Mustafa |
Allahumma Salli ‘Ala Mohammad Wa ‘Ala ‘ali Mohammad |
Kaash phir hazri ki ijazat mile Phir karun arz Aaqa ghulam aa gaya Mustafa |
Allahumma Salli ‘Ala Mohammad Wa ‘Ala ‘ali Mohammad Mustafa |