Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain, Yeh Aashiq Kaunsi Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain. |
Jahan Mein Hain Ibrat Kay Har So Namunay, Maghar Tujh Ko Undha Kiya Rang-O-Buu Nay, Kabhi Ghor Say Bhi Yeh Dekha Hai Tunay? Jo Aabad Thay Woh Mahal Abb Hain Sunay |
Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai, Yeh Ibrat Ki Jah Hai Tamasha Nahi Hai |
Mile Khaak Main Ahl-E-Shaan Kaise Kaise, Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay, Hue Name-War Pe Nishaan Kaise Kaise, Zamin Khagayi Nojwaan Kaisay Kaisay |
Ajal Nay Na Kisra Hi Choda Na Dara, Issi Say Sikander Safate Behara(Pe Hara), Har Ek Leke Kya Kya Na Hasrat Sidhara, Pada Rehgaya Sab Yunhi Thaat Sara |
Tujhay Pehlay Bachpan Mein Barsoon Khilaya, Jawani Nay Phir Tujhko Majnu Banaya, Burhapay Nay Phir Aakay Kia Kia Sitaya, Ajal Tera Kerday Gi Bilkul Sifaya |
Yehi Tujhko Dhun Hai Rahoon Sab Say Bala, Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala, Jiya Karta Hai Kia Yoonhi Mernay Wala? Tujay Husnay Zahir Nay Dhokay Main Dala |
Woh Hau Aish-O-Eishrat Ka Koi Mahal Bhi? Jahan Taak Mein Har Ghari Ho Ajal Bhi, Bus Ab Apnay Is Jehal Say Tu Nikal Bhi, Yeh Tarzay Maeshat Ab Apna Badal Bhi. |
Yeh Duniya-E-Fani Hai Mehboob Tujhko, Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhkom, Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko, Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko |
Burr`Hapay Say Paa Kar Payam-E-Qaza Bhi, Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi, Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi, Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi. |
Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar, Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar, Har Waqt Paish-E-Nazar Hai Yeh Manzar, Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar. |
Jahan Main Kahin Shor-E-Maatam Bapa Hai, Kahin Fikr-O-Faqah Say Aah-O-Baqa Hai, Kahin Shikwa`Jor-O-Makr-O-Dawa Hai, Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Hai. |
Jaga Ji Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai, Yeh Ibrat Ki Jah Hai Tamasha Nahi Hai |