Back to: Naats Starting With Letter (J)
Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai, Yeh ibrat ki jah hai tamasha Nahi hai. |
Jahan mein hain ibrat kay har so namunay, Maghar tujh ko undha kiya rang-o–buu nay, Kabhi ghor say bhi yeh dekha hai tunay? Jo aabad thay woh mahal abb hain sunay. |
Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai, Yeh ibrat ki jah hai tamasha Nahi hai. |
Mile khaak main Ahl-e-Shaan kaise kaise, Makeen ho gaye la makaan kesay kesay, Hue name-war pe nishaan Kaise kaise, Zamin khagayi nojwaan kaisay kaisay |
Ajal nay na kisra hi choda na dara, Issi say Sikander safate behara, Har ek leke kya kya na hasrat sidhara, Pada rehgaya sab yunhi thaat sara. |
Tujhay pehlay bachpan mein barsoon khilaya, Jawani nay phir tujhko majnu banaya, Burhapay nay phir aakay kia kia sitaya, Ajal tera kerday gi bilkul sifaya. |
Yehi tujhko dhun hai rahoon sab say bala, Ho zeenat nirali ho fashion nirala, Jiya karta hai kia yoonhi mernay walar Tujay husnay zahir nay dhokay main dala. |
Woh hau aish-o-eishrat ka koi mahal bhi Jahan taak mein har ghari ho ajal bhi, Bus ab apnay is jehal say tu nikal bhi, Yeh tarzay maeshat ab apna badal bhi. |
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujhko, Hui wah kya cheez marghub tujhkom, Nahin aqal itni bhi majzoob tujhko, Samajh lena ab chahiye khoob tujhko. |
Burr`hapay say paa kar payam-e-qaza bhi, Na chaunka na cheeta na samnbhla zara bhi, Koi teri ghaflat ki hai inteha bhi, Junoon chor kar apnay hoshon main aa bhi. |
Jab is bazm say chal diye dost aksar, Aur uthtay chalay ja rahay hain baraabar, Har waqt paish-e-nazar hai yeh manzar, Yahan par tera dil behelta hai kionkar. |
Jahan main kahin shor-e–maatam bapa hai, Kahin fikr-o-faqah say aah-o-baqa hai, Kahin shikwa`jor-o-makr-o-dawa hai, Gharz har taraf say yehi bas sada hai. |
Jaga Ji Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai, Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai. |