Back to: Naats Starting With Letter (J)
Jitna diya Sarkaar ﷺ ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen |
Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen |
Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun Paas meray ashko keh ilawa, aur koi sow’ghaat naheen |
Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey Naam-e-Muhammad ﷺ key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen |
Ghaur tuh kar Sarkaar ﷺ ki tujh par, kitnii haas inaayat hai Kausar tu hai inka sanahaan, Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen |