Back to: Naats Starting With Letter (K )
Kab talak muntazir ham rahen Ya Nabi Apna Jalwae -athar dikha dijiye |
Hum faqiron ki Ya Ahmade – Mujtaba Piyaas qalb-o-nazar ki bujha dijiye |
Aap zinat azall ki hain Khair ul-waraa Aap ronaq abad ki hain Salle Alaa |
Aap Khair ul Bashar, Wajahe -kauno -makan Paar baira hamara laga dijiye |
Arsh walay bhi tairay sana khwan hain Aur Malaik tairay darr key darbaan hain |
Tairay darbaare -aali ki kiya shaan hay Apnay qadmon mein hum ko bula lijiye |
Ranj-o-Aalaam se hum ko kar do bari Khushk hai dil ki khaiti, yeh kar do hari |
Tashnagi, Bekali, Tirgi, Ya Nabi! Rahguzaron ki dil say hataa dijiye |
Bay amal hum saraapa gunahgaar hain Ranjishon mushkilon mein giriftaar hain |
Hum karam kay tumharay talabgaar hain Aah-o-girya say hum ko jilla dijiye |
Sab say ooncha hay rutbon mein rutba tera choomtay hain malaaik bhi Roza tera Chahatein dil mein hain, sar mein sauda tera |