Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Kare Chara Sazi Ziyaa’rat Kisi Ki Bhare Zakham Dil Ke Malaa’hat Kisi Ki |
Chamak Kar Ye Kahte Hain Tal’at Kisi Ki Ke Deedaar-E-Haq Hai Ziyaarat Kisi Ki |
Ajab Piyari Piyari Hai Soorat Kisi Ki Humein Keeya Khuda Ko Hai Ulfat Kisi Ki |
Abhee Paar Hoon Doobnay Waalay Beiray Sahara Lagaday Jo Rehmat Kisi Ki |
Keesi Ko Keesi Se Hui Hai Na Hogee Khuda Ko Hai Jitnee Muhabbat Kisi Ki |
Dum-E-Hashar Aasee Mazay Lay Rahay Hain Shafa’at Keessee Kee Hai Rehmat Kisi Ki |
Khuda Ka Diya Hai Teray Paas Sub Kuch Teray Hotay Keeya Hum Ko Haajat Kisi Ki |
Qamar Ik Ishaaray Mein Do Tukray Dekha Zamanay Pay Roshan Hai Taaqat Kisi Ki |
Humein Hain Keessee Kee Shafa’at Kee Khaatir Humaree Hee Khaatir Hai Shafa’at Kisi Ki |
Musibat Zadoon Shaad Ho Tum Keh Unse Nahi Dekhi Jaati Musibat Keesi Kee |
Na Pohonchaygay Jab Tak Gunaahgar Un Kay Na Jaayegi Jannat Mein Ummat Kisi Ki |
Khuda Say Dua Hai Keh Hungaam-E-Rukhsat Zubaan-E-Hassan Par Ho Midhat Kisi Ki |