Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Kon kehta hay ke zeenat khuld ki achi nahin Laikin aay dil furqate kooe Nabi achi nahin |
Rehm ki Sarkaar main pursish hay aison ki bohat Aay dial acha hay ager haalat meri achi nahin |
Teera dil ko jalwae maahe arab darkaar hay Chodween ke chaand Teri chaandni achi nahin |
Kuch khabber hay main burra hoon kaisay achon ka burra Mujh burray pay zaahido tana zanee achi nahin |
Uss galli say door reh kar kia marrain hum kia jeeain Aah aaisee mowt aaisee zindagi achi nahin |
Un ke dar ki bheek chorain Sarwari Ke waasitay Un ke dar ki bheek achi sarwari achi nahin |
Khaak un ke aastaanay ki mangaa day chaarah gar Fikr kia haalat ager beemar ki achi nahin |
Saayah deewaare jinaa main ho bistar khaak par Aaarzooe taaj O takhte khusrawi achi nahin |
Baare isyaan ki taraqqi say hua hoon jaan bilab Mujh ko acha kijiyay haalat meri achi nahin |
Zarra e Taiba Ki Tal’at Ke Muqaabil Ae Qamar! Ghat-ti Bhar-ti Chaar Din Ki Chaandni Achhi Nahin |
Mosame gul kyoon dikhaay jaatay hain yeh sabz baagh Dashte Taybah jaain gay hum rahzani achi nahin |
Bay kason par meherbaan hay rahmate baykas nawaaz Kon kehta hay humaari baykassi achi nahin |
Bandae Sarkaar ho phir kar khuda ki bandagi Warna aay banday khuda ki bandagi achi nahin |
Roosia hoon moon ujaala kar day aay Tayba kay chaand Iss andheray paakh ki yeh teergi achi nahin |
Khaar haay dashte Tayba chubh gayay dil main meray Aarize gul ki baahar aarzi achi nahin |
Subhe mehshar chonk aay dil jalwae Mahboob dekh Noor ka tarka hay pyaaray kaahili achi nahin |
Un ke darr pay mowt aa jaay to jee jaaoon Hasssan Un ke darr se door reh kar zindagi achi nahin |