Back to: Naats Starting With Letter (L )
Lab Par Naat e Pak Ka Naghma Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Mere Nabi ﷺ se mera rishta Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Aur kisi janib kyun jaayen Aur kisi ko kyun dekhen |
Apna sab kuchh gumbad-e-khazra Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Past wo kaise ho sakta hai Jisko haq ne buland kiya |
Dono jahan me unka charcha Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Badlado ghustakh-e-Nabi ko Ghairat muslim zinda hai |
Deen par mar mitne ka jazba Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Fikr nahi hai hamko kuchh bhi Dukh ki dhoop kadi to kya |
Ham par unke fazl ka saaya Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Unke dar se sab ho aayen Ja na saka to ek saghih |
Ye ke ek tasveer-e-tamanna Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Lab par naat-e-pak ka naghma Kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Mere Nabi ﷺ se mera rishta Kal bhi tha aur aaj bhi hai |