Back to: Naats Starting With Letter (L )
Lo Madine ki tajjali se lagaye huye hain Dil ko ham matla’ye – anwar banaye huye hein |
Kashtiyaan apni kinaare pey lagaye huye hein Kya woh doobey jo Muhammad key taraaye huye hein |
Naam aane sey Abu Bakr o Umar ka lab par Tu Bigerta hay woh pehloon mein sulaye huye hein |
Hazir o Nazir o Noor o Bashar o Ghaib ko choorh! Shuker kar woh tere ‘aibon ko chupaye huye hein |
Ik jhalak aaj dikhaa Gumbad- e- Khazra ke Makeen Kuch bhi hein, door se deedar ko aaye huye hein |
Sar pey rakh deejiye zara dast- e- tassali Aqa Ghum key maare hein zamane ke sataye huye hein |
Sharm e isian say nahen samny jaya jata Yeh bhi kiya kam hay tery shaher main aye huye hein |
Teri nisbat hi to hay jis ki badaulat hum log Kufr key daur mein, Emaan bachaaye huye hein |
Kaash deewana bana lein woh hamein bhi apna Aik dunya ko jo deewana banaye huye hein |
Bosa-e dar se na rouk ab to inhe aey darbaan Khud nahi aye yeh mehmaan bulaye huye hein |
Qabr ki neend se uthna koi aasan na tha Hum to Mehshar mein Unhe dekhne aaye huye hein |
Kyun na palrha terey aamal ka bharee ho Naseer Ab to Mizaan pey Sarkaar bhi aaye huye hein |