Back to: Naats Starting With Letter (M )
Madine ka safar hai aur mein namdeedah namdeedah jabeen afsurdah afsurdah qadam laghzeedah laghzeedah |
Chala hoon aik mujrim ki tarah mein jaanib e Taiba nazar sharmindah sharmindah badan larzeedah larzeedah |
Kissi kay haath ne mujh ko sahaara day diya warna kahaan mein aur kahaan yeh raastay pecheedah pecheedah |
Kahaan main aur kahaan us rawza e aqdas ka nazaarah nazar us simt uth-tee hai magar duzdeedah duzdeedah |
Ghulaamaan e Muhammad door se paichaanay jaate hein Dil e girzeedah girzeedah sar e shoreedah shoreedah |
Madine jaa kar hum samajhe taqaddus kis ko kehte hein Havaa paakeezah paakeezah fazaa sanjeedah sanjeedah |
Basaarat kho gayee lekin baseerat tau salaamat hai Madinah hum ne dekha hai magar nadeedah nadeedah |
Vohi Iqbal jis ko naaz tha kal khush-mizaaji par Firaaq e Tayba mein rehtaa hai ab ranjeedah ranjeedah |