Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Main Madinay Chala, Mein Madinay Chala, Phir Karam Ho Gaya Main Madinay Chala. |
Kaif Sa Cha Gaya Main Madinay Chala, Jhoomta Jhoomta Main Madinay Chala. |
Mere Aaqa Ka Darr Hoga Paish-E-Nazar, Chahiye Aur Kya Main Madine Chala. |
Darkano Tumhi Kaho Waqt Woh Kaisa Hoga, Samanay Ankhon Kay Jab Gunbad-E-Sabz Ho Ga. |
Gumbad-E-Sabz Par Jab Paray Gi Nazar, Kya Suroor Aega Main Madinay Chala. |
Jab Gumbad-E-Khizra Pe Woh, Pehli Nazar Gayi, Aankhon Kay Raastay Meray Dil Mein Uttar Gayi. |
Ashk Thamtay Nahi, Paon Jamtay Nahi, Larkharaata Hua Main Madinay Chala. |
Mere Siddique Umar Ho Salam Aap Par, Aur Rehmat Sadaa Main Madinay Chala. |
Woh Uhod Ki Zammen Jis K Ander Makeen, Mere Hamza Piya Main Madinay Chala. |
Unka Gham Chasham-E-Tarr Aur Sauz-E-Jigar, Ab Tou Dai Dai Khuda Main Madinay Chala. |
Saaqia Mai Pila Main Madinay Chala, Mast-O-Bekhud Bana Main Madinay Chala. |
Ae Shajar A Hajar Tum Bhi Shams-O-Qamar, Daikho Daikho Zarra Main Madinay Chala. |
Daikh Taaray Mujhe, Yeh Nazaray Mujhe, Tum Bhi Daikho Zarra Main Madinay Chala. |
Rooh-E-Muztar Theher Tu Nikalna Udher, Itni Jaldi Bhi Kya Main Madinay Chala. |
Haath Uth’tay Rahain Mujhko Daitay Rahain, Woh Talab Se Siwa Main Madinay Chala. |
Noor-E-Haq K Hazoor Apnay Saray Kasoor, Bakhswanay Chala Main Madinay Chala. |
Woh Bakee Ki Zameen Jis K Ander Makeen, Mere Madani Zia Main Madinay Chala. |
Un K Minaar Par Jab Paray Gi Nazar, Kya Saroor Aega Main Madinay Chala. |
Minbar-E-Noor Par Jab Uthay Gi Nazar, Kya Saroor Aega Main Madinay Chala. |
Dard-E-Ulfat Milay Zauq Barhnay Lagay, Jab Chalay Qaafila Main Madinay Chala. |
Kya Karega Idher Baandh Rakht-E-Safar, Chal Obaid-E-Raza Main Madinay Chala. |
Kya Yeh Tu Ne Kaha A Ubaid-E-Raza, Soch Tou Kuch Zarra Main Madinay Chala. |
Main Tou Bus Yoon Hi Tha Main Ki Aukaat Kya, Qaafia Yeh Mila Main Madinay Chala. |
Lutf Tou Jab Milay Mujh Se Murshid Kahain, Chal Obaid-E-Raza Main Madinay Chala. |