Sign Up

Sign In

Forgot Password

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link and will create a new password via email.

You must login to ask question.

ہماری ویب سائٹ پر آپ کا خیر مقدم ہے۔

Ask A Question

Mein So Jaon Ya Mustafa kehte kehte

Mein So Jaon Ya Mustafa kehte kehte
khule Ankh Salle Ala kehte kehte
Mein so jaon Ya Mustafa kehte kehte
khule Ankh Salle Ala kehte kehte.
Habib-e-khuda ka Nazara karun mein
Dilo jaan un par Nisara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte.
Mujhe apni Rehmat seTu apna karle
Mujhe apni Rehmat seTu apna karle
Siwa tere sabse Kinara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa Kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte
Khudara ab aaoge Dam hai labon par
Khudara ab aaoge Dam hai labon par
Dame wapasi toh Nazara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte
Mujhe hath aaye Agar taaj-e-shahi
Mujhe hath aaye Agar taaj-e-shahi
Teri kafshe paa par Nisara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte
Tera zikr lab par Khuda dil ke andar
Tera zikr lab par Khuda dil ke andar
Yunhi Zindagani Guzara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte
Dame wapasi tak Tere geet gaon
Dame wapasi tak Tere geet gaon
Muhammed Mumajjad Pukara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte
Tere dar ke hote Kaha jaon pyare
Tere dar ke hote Kaha jaon pyare
Kaha apna daman Pasara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte
Khuda khair se laaye Wo din bhi Noori
Khuda khair se laaye Wo din bhi Noori
Madine ki galiyan Buhara karun mein
Mein so jaon ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh Salle ala kehte kehte