Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Mujhe Dar Pe Phir Bulana Madani Madine Wale Ma E Ishq Bhi Pilaana Madani Madine Wale |
Meri Aankh Me Samaana Madani Madine Wale Bane Dil Tera Thikaana Madani Madine Wale |
Teri Jab Ke Deed Hogi Jabhi Meri Eid Hogi Mere Khwaab Me Tum Aana Madani Madine Wale |
Mujhe Sab Sataa Rahe Hain Mera Dil Dukha Rahe Hain Tumhi Hausla Badhaana Madani Madine Wale |
Mere Sab Azeez Choote Mere Yaar Bhi To Roothe Kahi Tum Na Rooth Jaana Madani Madine Wale |
Mai Agar Che Hoon Kameena Tera Hoon Shahe Madina Mujhe Seene Se Lagaana Madani Madine Wale |
Tere Dar Se Shaha Behtar Tere Aastaan Se Badhkar Hai Bhala Koi Thikaana Madani Madine Wale |
Tera Tujh Se Hoon Sawaali Shaha Pherna Na Khali Mujhe Apna Tum Banaana Madani Madine Wale |
Ye Mareez Mar Raha Hai Tere Haath Me Shifa Hai Aye Tabeeb Jald Aana Madani Madine Wale |
Tu Hi Ambiya Ka Sarwar Tu Hi Do Jahaan Ka Yaawar Tu Hi Rehbare Zamaana Madani Madine Wale |
Tu Hai Be Kason Ka Yaawar Aye Mere Ghareeb Parwar Hai Sakhi Tera Gharaana Madani Madine Wale |
Tu Khuda Ke Baad Behtar Sabhi Se Mere Sarwar Tera Haashmi Gharaana Madani Madine Wale |
Teri Farsh Par Huqumat Teri Arsh Par Huqumat Tu Shehenshah E Zamaana Madani Madine Wale |
Tera Khulq Sab Se A’ala Tera Husn Sab Se Pyaara Fidaa Tujh Pr Sab Zamana Madani Madine Wale |
Kahoon Kis Se Aah Jaakar Sune Kaun Mere Dilbar Mere Dard Ka Fasaana Madani Madine Wale |
Mai Ghareeb Be Sahara Kahaan Aur Hai Guzaara Mujhe Aap Hi Nibhaana Madani Madine Wale |
Ye Karam Bada Karam Hai Tere Haath Me Bharam Hai Sare Hashr Bakhshwaana Madani Madine Wale |
Kabhi Jau Ki Moti Roti To Kabhi Khajoor Pani Tera Aisa Saada Khana Madani Madine Wale |
Hai Chatayi Ka Bichona Kabhi Khaak Hi Pe Sona Kabhi Haath Ka Sir-Haana Madani Madine Wale |
Teri Saadgi Pe Laakhon Teri Aajizi Pe Laakhon Ho Salaame Aajizaana Madani Madine Wale |
Mile Naza Me Raahat Rahoon Qabr Me Salaamat Tu Azaab Se Bachana Madani Madine Wale |
Aye shafi e roz e mehshar! Hai gunaah ka bojh sar par Mai Phasaan Mujhe Bachaana Madani Madine Wale |
Mere shaah! Waqte rukhsat mujhe meetha meetha sharbat Teri Deed Ka Pilaana Madani Madine Wale |
Pas Marg Sabz Gumbad Ki Huzoor Thandi Thandi Mujhe Chaoon Me Sulaana Madani Madine Wale |
Mere Walidain Mehshar Mein Go Bhool Jaye Sarwar Mujhe Tum Na Bhool Jaana Madani Madine Wale |
Shaha Tangi Badi Hai Yahaan Dhoop Bhi Kadi Hai Shahe Hauze Kausar Aana Madani Madine Wale |
Mujhe Aafaton Ne Ghera Hai Musibaton Ka Dera Ya Nabi Madad Ko Aana Madani Madine Wale |
Mera Seena Ho Madina Mere Dil Ka Aabgeena Bhi Madina Hi Banaana Madani Madine Wale |
Aye Habeebe Rabbe Baari Hai Gunaah Ka Bojh Bhari Tumhi Hashr Me Chchudana Madani Madine Wale |
Tere Naam Par Ho Qurbaan Meri Jaan Jaane Jana Ho Naseeb Sar Kataana Madani Madine Wale |
Shaha Aisa Jazbaa Paau Ke Mai Khoob Seekh Jaau Teri Sunnate Sikhaana Madani Madine Wale |
Tere Naam Par Ho Qurbaan Meri Jaan Jaane Jana Ho Naseeb Sar Kataana Madani Madine Wale |
Teri Sunnaton Par Chal Kar Meri Rooh Jab Nikal Kar Chale Tum Gale Lagaana Madani Madine Wale |
Hai Muballigh Aaqa Jitne Karo Door Unse Fitne Buri Maut Se Bachaana Madani Madine Wale |
Mere Ghous Ka Waseela Rahe Shaad Sab Qabeela Inhe Khuld Me Basaana Madani Madine Wale |
Mere Jis Qadar Hai Ahbaab Inhe Karde Shaha Betaab Mile Ishq Ka Khazaana Madani Madine Wale |
Meri Ane Wali Naslen Tere Ishq Hi Me Machlen Unhe Nek Tum Banaana Madani Madine Wale |
Mile Sunnaton Ka Jazbah Mere Bhai Chchode Maula Sabhi Dadiyaan Mundaana Madani Madine Wale |
Mere Jis Qadar Hai Behne Sabhi Kaash Burqa Pehne Ho Karam Shahe Zamaana Madani Madine Wale |
Do Jahaan Ke Khazane Diye Haath Me Khuda Ne Tera Kaam Hai Lutaana Madani Madine Wale |
Teri Gham Me Kaash Attar Rahe Har Ghadi Giraftaar Ghame Maal Se Bachaana Madani Madine Wale |