Back to: Naats Starting With Letter (P)
Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya |
Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya |
Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya |
Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya |
Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya |
He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya |