Back to: Naats Starting With Letter (Q)
Qalb e Aashiq Hai Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan. Kulfate Hijro Kulfat Ne mara Alwada Alwada Mahe Ramazan |
Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha, Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha, Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba, Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan. |
Bazme Iftar Sajti Thi Kaisi Khoob Sehri ki rounaq bhi Hoti Ho gaya sub sama suna suna Alwada Alwada Mahe Ramazan |
Kuch na Husne Amal Kar saka Hoon Nazr chand Ashk Mein kar raha hoon Bas Yehi hai mera kul asasa Alwada Alwada Mahe Ramazan |
Tum Pe Lakhon Salam Mahe Ramazan Tum Pe Lakhon Salam Mahe Ghufran Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara Alwada Alwada Mahe Ramazan |
Wasta Tujh Ko Pyare Nabi ﺼﻟﻰﷲﻋﻟﻴﻪ ﻮﺴﻟﻣ Ka Hashr Mein Hum ko na bhool Jana Roze Mehshar Hu ko baqsh wana Alwada Alwada Mahe Ramazan |
Jub Guzar Jayenge Mah Giyara, Teri Aamad Ka Phir Shore Hoga, Kiya Bharosa meri zindagi ka, Alwada Alwada Mah-e-Ramazan. |
Sal-e- A’inda Shahe Haram Tum Karna Par Yeh Karam Tum Phir Madine Mein Ramazan Dikhana Alwada Alwada Mahe Ramazan |
Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain, Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain, Kaun Dega Inhe Ab Dilasa, Alwada Alwada Mahe Ramazan. |
Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain, Aah Issiya He Main Din Katain Hain, Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara, Alvada Alvada Mah-e-Ramazan. |
Sag-e-ATTAR, Badkar, kahil, Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil, Is Se khush Hoke Hona Rawana, Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana, ALVIDA ALVIDA MAHE-E-RAMAZAN, ALVIDA ALVIDA MAHE-E-RAMAZAN |