Back to: Naats Starting With Letter (Q)
Qurban Main Unki Bakhshish Ke Maksad Bhi Zuban Par Aya Nahi Bin Mange Diya Aur Itna Diya Daman Mein Hamare Samaya Nahi |
Iman Mila Unke Sadke Quran Mila Unke Sadke Rehman Mila Unke Sadke Woh Kya Hai Jo Hamne Paya Nahi |
Unki Jab Shan E Kareemi Pe Nazar Jati Hai Zindagi Kitna Marahal Se Guzar Jati Hai Betalab Mujhko Diye Jata Hai Dene Wala Hath Uthte Nahi Neeyat Meri Bhar Jati Hai |
Kisi Ko Kabhi Dar Se Khali Na Tala Tawakko Se Badh Kar Ata Karne Wala Bhikhari Anokhe Hain Data Nirala Kaun Hai Jo Bipta Ko Tale Unse Mangein Mangne Wale Sare Jag Mein Goonj Rahi Hai Unki Jai Jaikar |
Unka Ka To Shairaz Kareemi Hai Mail Wo Karam Hi Rehte Hain Jab Yad Kiya Aye Salle Allah Wo A Hi Gaye Tadpaya Nahi |
Wo Rehmat Kaisi Rehmat Hai Mafhoom Samjh Lo Rehmat Ka Usko Bhi Gale Se Lagaya Hai Jise Apna Kisi Ne Banaya Nahi |
Be Bandagi Ko Ooch Kiya Banda Kar Diya Tara Mere Naseeb Ka Tabinda Kar Diya Itni Badi Huzoor Ki Banda Nawaziyan Mujhko Mere Sawal Ne Sharminda Kar Diya |
Main Ap Kahun Rakh Lije Bharam Lillah Karam Lillah Karam Tawan E Amal Mein Neki Ka Sarkar Koi Sarmaya Nahi |
Us Mohsin E Azam Ke Yun Toh Khalid Pe Hazaron Ehsan Hain Qurban Main Aise Ehsan Ke Ehsan Kiya Toh Jataya Nahi |