Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Rabbana Ya Rabbana, Rabana Ya Rabana, Rabana Ya Rabana, Rabbana Ya Rabbana. |
Ya Elahi Har Jagha Teri Ataa Ka Saath Ho, Jab Paray Mushkil Shahe-Mushkil Kushaa Ka Saath Ho |
Ya Elahi Bhool Jaaon Naz’aa Ki Takleef Ko, Shaadi Yay-Deedar-E- Husn-E-Mustafa Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Gor-E-Teera Ki Jab Aaaye Sakht Raat, Unkay Pyaaray Mon Ki Subh-E-Jaan Fiza Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Naama-E-Amaal Jab Khulne Lage, Aib Posh-E-Khal Saattar-E-Khata Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Garmiye Mehshar Say Jab Bharke Badan, Daman-E-Mehboob Ki Thandi Hawa Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Jab Zubaan Bahar Aaye Pyaas Say, Sahib-E-Kothar Jood-O-Sakha Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Jab Hisab-E-Khanda-E-Be Jaa Rulaye, Chashm-E-Giryan-E-Shafi-E-Murtaja Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Jab Par-E-Mehshar Main Shor-E-Daro Geer, Aman Dene Wale Pyaare Paishwa Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Sard Mori Par Ho Jab Khursheed-E-Hasr, Sayyed-E-Be Saaya Ke Zille Liwa Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Jab Chal-E-Tareek Rah-E-Pul Sarat, Aftab-E-Hashmi Noor Ul Huda Ka Saath Ho. |
Ya Elahi Jab Sar-E-Shamsheer Par Chalna Pare, Rabbi Salllim Kehne Wale Gham Zada Ka Saath Ho. |
Ya ELahi Jo Duaein Naik Hum Tujhse Karain, Qudsiyon Ke Lab Se Aaami Raabana Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-E-Giraa Se Sar Uthaa’e, Daulat-E-Bedaar Ishk-E-Mustafa Ka Saath Ho. |