Back to: Naats Starting With Letter (R)
Rukh se parda ab apne hata do Jaliyon par nigahen jamee he |
Apna jalwa isi me dikhado Jaliyon par nigahe jami he |
Ghous ul azam ho ghous ul wara ho Noor ho noor e salle alaa ho |
Kya bayan aapka martaba ho Dastagir aur mushkil kusha ho |
Aaj deedar apna karado Jaliyon par nigahe jami he |
Sunn rahe he wo fariyad meri Khaak hogi na barabaad meri |
Mai kahi bhi maru shahe jilaan Rooh pahuchegi baghdad meri |
Mujh ko parwas ke par laga do Jaliyon par nigahe jami he |
ik mujrim siyahkar hu mai Har khata ka sazawar hu mai |
Mere charo taraf he andhera Roshni ka talabgar hu mai |
Ik diya hi samjh kar jala do Ik diya hi samajh kar jala do |
Jaliyon par nigahe jami he Wajd me aayega sara aalam |
Jab pukarenge ya ghous ul azam Wo nikal aayenge jaliyon se |
Aur kadmo me gir jayenge hum Fir kahenge ke bigdi bana do |
Jaliyon par nigahe jami he Fikr dikho khayalat dikhao |
Ye akidat ye jazbat dikho Mai hu kiya meri aukat dikho Samne kaisi zaat he dikho |
Aay adeeb apne sar ko jhuka do Jaliyon par nigahe jami he |
Faslon ko khudara mitado Jaliyon par nigahe jami he |
Rukh se parda ab apne hatado Jaliyon par nigahe jami he |