Back to: Naats Starting With Letter (S)
Sab Nabiyon se Aala Mera Kali Kamli Wala Kali Kamli Wala Aaqa Shehar Madine Wala |
Wo Badr Muneer Nabuwwat ka Ashab hai Iska Aala Wo Khatme Rusool Maula-e-Kull Wo fakhre Rusool Dana-e-Sabul Tera Chehra Wadduha Aesa Koi Haseen na aaya Tuj Jaisa Mazag-Basar hai Aankh Teri Wallayl Kamal hai Zulf Teri Tere Husn ka Aesa Jadu Raha Dil pe kisi ke na kabu Husn Qureshi Hashmi ka Sab Nabiyon se nirala |
Sab Nabiyon se Aala Mera Kali Kamli Wala Kali Kamli Wala Kali Kamli Wala Aaqa Shehar Madine Wala |
Tere Aane se Ye mehka Jahan Kisi Khushbu mein ye Mahek kahan Yasin chamakti Tujko mili Khile Phool kali Har ek khili Tumhe dekha zaree chamak uhte Hua Chand ungli se Do Tukde Tera Laab Shahed se bhi mitha Aabe Kausar se bhi mitha Khushk Gulab se Aaqa Tera pasina chhuta |
Sab Nabiyon se Aala Mera Kali Kamli Wala Kali Kamli Wala Aaqa Shehar Madine Wala |
Aur karti rahun Mein Baatein Unki Tuhi Sadik aur Ameen Haseen Meine Un Jaisa na dekha kahin Unke Har Ek bol pe Naat likhun Unki pyari Har Ek baat likhun Unke Kalme ka Ikrar karun Aur Waqte Naza mein yaad karun Aaqa ne dekho bakhshish ka Kesa kaam nikala |
Sab Nabiyon se Aala Mera Kali Kamli Wala Kali Kamli Wala Aaqa Shehar Madine Wala |