Back to: Naats Starting With Letter (S)
Baithe baithe kaam saara ho gaya Sabz gumbad ka nazara ho gaya |
kar liya Allah ne usko pasand, jo mere Aaqa ka pyaara ho gaya |
Mil gaya sadqa mujhe Aaqa ka, zindagi bhar ka guzara ho gaya |
Naam naam-e-Mustafa salle ‘ala, besaharon ka sahara ho gaya |
Aap ke darbaar gohar baar se, Saare mangton ka guzara ho gaya |
Mohsin aasi hai yakeen yeh hashr mein woh kahenge, tu hamara ho gaya |
Zindagi bhar naat main parhta raha Meri bakshish ka sahaara ho gaya |