Back to: Naats Starting With Letter (S)
Sahar ka waqt hai masum kaliya muskurati hain Hawae kher makdam ke tarane gungunati hain |
Abhi jibril utare bhi na the kabe ke mimbar se Ke itne me sada aai ye abdullah ke dhar se |
Jashn manao aae hain sab nabiyo ke sultaan Huro malaik jinno basar sab karte hain ailan |
Pukaro marhaba ya mustafa ﷺmarhaba ya mustafa ﷺ Pukaro marhaba ya mustafa ﷺ marhaba ya mustafa ﷺ |
Gulsan mai phool mahke dali dali bhi lahake Unki aamad ka sunkar bulbul bhi chaman mai chahke |
Unka jasn mana kar karlo bakhshish ka saman Jasn manao aae hai sab |
He noor paikar aae rahmat ke badal chhae Dukhiya ke liye wo sayae rahmat bankar aae |
Unke aane se aai har chahre par muskan Jasn manao aae hai sab |
Nara amad ka lagao zando se dharko sajao Imaan ka hai ye takaza sab geet nabi ke gao |
Ye wo geet hai jisase khud khush hota hai rahmaan Jasn manao aae hai sab |
Hai bara rabiul awwal dareasl mai id hamari Jasne milad ki dhoome ta-hasr rahegi jari |
aisa jasn taybah mai ye dil mai hai armaan Jasn manao aae hai sab |
Kherat rukhe roshan ki sab chand sitaro mai hai Aaka ka jasn manana kurban ke paro me hai |
Parhkar dekhlo aala hazarat ka kanzul imaan Jasn manao aae hai sab |
Hai hamape ‘muin’ musalasal aaka ki karam nawazi Nato ke phool bikhero rab ho haega razi |
Unki sanakhwani karna to hak ki hai pehachan Jasn manao aae hai sab |