Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Sar Bulandi Ki Rawayat, Sir Katanay Say Chali Nabzay Imaan Teri Nabzein, Doub Janay Say Chalien. |
Nazr E Deen Jaan Hi Nahin, Sab Lakhtay Jaan Bhi Kar Diye Reet Yeh Tujh Say Chalein, Taray Gharanay Say Chalein. |
Tunay Mani Hee Badal Dalay Shikst O Fat’ha Kay Rasm E Hasti Apni Hasti Ko Mitanay Say Chalein. |
Ghay Say Tujhko Karbala Ki Samt Jata Dekh Ker Abr Utha Sehra Say Bijli Ashiyaanay Say Chali. |
Aanay Wala Lamha Lamha Teri Baiyat Ker Chuka Baat Teri Az Saray No Har Zamanay Say Chali. |
Sir Bulandi Ki Rawayat, Sir Katanay Say Chali Nabzay Imaan Teri Nabzein, Doub Janay Say Chalien. |
Mein Muhammad Ka Ghulam, Aal E Muhammad Ka Ghulam Woh Mohammad Ka Ghada, Jo Ale Mohammad Ka Ghulam |
Woh Ghulaam E Mustafa, Jo Aale Mohammad Ka Ghulam Apni Har Tasveer Seen Aaina Khanay Say Chali. |
Ser Bulandi Ki Rawayat, Ser Katane Sey Chali Nabzay Imaan Teri Nabzein, Doub Janay Say Chalien. |