Back to: Naats Starting With Letter (S)
sare jahan se achha hai sange dar tumhara pyara hai do jaha se aaka nagar tumhara saare jaha se achha |
murza gae jahan ke saare chaman khizan se shadab hai gulista aaka magar tumhara saare jaha se achha |
hai sajada rez kaba ab bhi sue madina dekhe zara ye rutba aehale nazar tumhara saare jaha se achha |
kudasi bhi chumte hain khake dare nabi ko jab se huwa madina khairul bashar tumhara saare jaha se achha |
shaho gada sabhi hain mangta tumhare dar ke saara jaha hai data daste nigar tumhara saare jaha se achha |
hum talibe inayat hai hind me tumhare judo sakha ka moro diriya idhar tumhara saare jaha se achha |
parcham buland karne islaam ka jaha mai darkar phir hame hai ilmo hunar tumahra saare jaha se achha |
dil mai yahi hai hasrat marne se pehale aaka dekhe ‘anis’ dil ki aankho se ghar tumhara saare jaha se achha |