Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Sarkar Kay Dar Per Jaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye, Taqdder Apni Chamkaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye |
Jab Paish-E-Nazar Ho Mere Minaar-O-Gumbad Tere Mein Ghash Kha Kar Gir Jaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye |
Phir Zair-E-Gumbad-E-Khazra Ro Ro Kar Dast Basta Sub Haal Mein Tujh To Sunaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye |
Dil Ko Apnay Samjha Kar Deedar Ki Aas Dila Kar Ro Ro Kar Mein So Jaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye |
Woh Khoaab Mein Jalwa Dikhaein Aye Kaash Karam Farmayein Mein Qadmon Mein Gir Jaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye |
Hai Dil Ka Ubaid Ye Armaan Phir Ban Kar Un Ka Mehmaan Darbar Mein Naat Sunaaoon Woh Waqt-E-Mubarak Aaye. |