Back to: Naats Starting With Letter (T)
Tu Shamme Risalat Hain A’alam Tera Parwana Tu Mahe Nubuvvat Hain Ay Jalwa E Janana |
Jo Saaqi E Kausar Ke Chehre Se Nikaab Uththe Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paymana |
Dil Apna Chamak Utthe Imaan Ki Tal’at Se Kar Aankhein Bhi Noorani Ay Jalwa E Jaanana |
Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana |
Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana |
Peete Hain Tere Dar Ka, Khate Hain Tere Dar Ka Pani Hain Tera Pani, Dana Hain Tera Dana |
Sarshar Ise Kar De Ik Jaam E Labalab Se Taa Hashr Rahe Saaqi Aabad Ye Maikhana |
Is Darr Ki Huzoori Hi Isyan Ki Dawa Thahri Hai Zehre Ma Aasi Ka Taibah Hi Shifa Khaana |
Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana |
Duniya Mein Hume Tum Ne Jab Apna Banaaya Hai Mehshar Me Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deewana |
Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare Jaana Na |
Sange Dare Jaana Hain, Thokar Na Lage Kisko Ay Kash Wo Sun Lete, Mujhse Mera Afsana |
Sange Dare Jaana Par, Karta Hu Jabee Sayi Sajda Na Samajh Najdi, Sar Deta Hu Nazrana |
Woh Kehte Na Kehte Kuch Woh Karte Na Karte Kuch Ay Kash Wo Sunn Lete Mujh Se Mera Afsana |
Sarkaar Ke Jalwon Se, Roushan Hain Dile Noori Ta Hashr Rahe Roshan, Noori Ke Ye Kaash Aana |